Tumhare Khat MeinTumhare khat meiTumhare khat mein naya ek salaam kiska thaNa tha raqueeb toh aakhir woh naam kiska thaRaha na dil mein woh bedard aur dard rahaMukim kon hua hai makaam kiska thaWafa karenge nibhayenge baat maanegeTumhe bhi yaad kuch ye kalaam kiska thaWoh katl karke har kisise puchhate haiYeh kaam kisane kiya yeh kaam kiska thaHumare khat ke toh purze kiya padha bhi nahiSun jo tumane baa-dil woh payaam kiska thaGuzar gaya woh zamana kahoo toh kisse kahooKhyaal dil ko mere subah-o-shaam kiska thaHar ek se kehate hai kya 'daag' bewafa nikalaYe puchhe inse koi woh ghulam kiska tha
Payaam Aaye HainPayaam aaye haiPayaam aaye hain os yaar-e-bewafa ke mujheJisay qaraar na aaya kaheen bhula ke mujheJudaayiaan hon tou aisi ke umer bhar na milainFaraib do tou zara silsilay barha ke mujheNashay se kam tou nahi yaad-e-yaar ka aalamKe le urra hai koi dosh per hawa ke mujheMein khud ko bhool chuka tha magar jahan waalayUdaas chorh gaye aaina dikha ke mujheTumhaaray baam se ab kam nahi rifat-e-daarJo dekhna ho tou dekho nazar utha ke mujheKhinchi howi hai mere aansooun mein ek tasveer`faraz` dekh raha hai wo muskura ke mujhe
Is Se Pehle KeIs se pehle kIs se pehle ke bewafa ho jayeinKyun na ay dost hum judaa ho jayeinTu bhi heere se ban gaya pattharHum bhi kal jaane kya se kya ho jayeinHum bhi majbooriyon ka uzar kareinPhir kahein aur mubtila ho jayeinAb ke gar tu mile to hum tujhseAise liptein teri qabaa ho jayeinBandagi hum ne chhod di hai farazKya karein jab log khudaa ho jayein
Kahin Aah Ban KeKahin aah ban kKahin aah ban ke lab per tera naam aa na jayeTujhe bewafa kahoon main, woh muqaam aa na jayeJise sun ke toot jaye mera aarzu bhara dilTere anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jayeWoh jo manzilon par laa kar kisi hamsafar ko looteinUnhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jayeIsi fikar mein hain ghalat yeh nizaam ke bandeJo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye
Payaam Aaye HainPayaam aaye haiPayaam aaye hain us yaar-e-bewafa ke mujheJise qarar na aaya kahin bhula ke mujheJudaiyan hon to aisi ki umar bhar na mileinFareb do to zara silsile barha ke mujheNashe se kam to nahi yaad-e-yaar ka aalamKi le udaa hai koi dosh par hawa ke mujheMain khud ko bhool chuka tha magar jahan waleUdaas chorrh gaye aaina dikha ke mujheTumhare baam se ab kam nahi rifat-e-daarJo dekhna ho to dekho nazar utha ke mujheKhinchi hui hai mere aansoun mein ek tasveer'faraz' dekh raha hai wo muskura ke mujhe